
Pehchan khoo gae
yaad aae aaj ek shaksh ki,
yaad aae ek bhule chehre ki.
dil mei, baatoon mei zinda tha wo,
is muskan ki, is aatamvishwas ki vajah tha wo.
samay k sath, ret mei dab gya kahi,
naye logo mei khoo gya wo kahi.
Ab kami mehsus hoti hai,
ab uski yaad aati hai.
Dhundhna tujhko hai aasan ,
Dhundhna tujhko hai mushkil..
poori duniya nhi.. khud mei khojna hai..
wo aur koi nhi khud ki pehchan hai..
milna h usko fir..
jaanna h usko fir
taiyar kerna h khud ko..
bnani h nae pehchan
aur zindagi ki nae udan.